Ek din ek kutta jungle main raasta Bhatak gaya .
Tabhi usane dekha ek sher uskii taraf aa raha hai.
Kutte ki saans rookh gayi.. "Aaj to kaam tamaam mera!" usne socha.
Phir usne saamane kuchh sookhi haddiyan padi dekhi. Woh aate hue sher
ki taraf peeth kar ke baith gaya aur ek sookhi hadii ko choosane laga
aur zor zor se bolne laga, "wah! Sher ko khaane ka maza hi kuchh aur
hai. Ek aur mil jaaye to poori daawat ho jayegi!"
Aur usne zor se dakaar mara. Is bar sher sakate mein aa gayaa. Usne
Socha "ye kutta to sher ka shikar karta hai! Jaan bacha kara bhago!"
Aur sher wahan se champat ho gaya .
Ped par baitha ek Bandar yeh sab tamasha dekh raha tha.
Usne socha yeh mauka achha hai sher ko sari kahani bata deta hoon -
sher se dosti ho jayegi aur usase zindagi bhar ke liye jaan ka khatra
dur ho jayega. Who phataphat sher ke pichhe bhaga. Kutte ne Bandar ko
jaate hue dekh liya aur samajh gayaki koi locha hai. Udhar Bandar ne
sher ko sab bata diya ki kaise
kutte ne use bewakoof banaya hai.
Sher zor se dahada, "chal mere saath abhi uski leela khatam karta
hoon" aur Bandar ko apani peeth par baitha kar sher kutte ki taraf
lapka.
Can u imagine the quick management (???) by the DOG...
Kutte ne sher ko aate dekha to ek bar phir uskii taraf peeth karke
baith gaya aur zor zor se bolne laga, "Is Bandar ko bhej ke 1 ghanta
ho gaya , ek sher phaans kar nahi la sakta!"
Moral of the story : LEARN TO FACE THE SITUATION .

Show Konversi KodeHide Konversi Kode Show EmoticonHide Emoticon